Sunday, August 29, 2010

Nazm Pesh-E-Khidmat Hey

Nazm Pesh-E-Khidmat Hey
By:Parveeen Shakir
Tooti hey meri neend magar tumko is say kya
Bajtey rahey hawaon say dar magar tumko is say kya
Tum Mauj Mauj Misl-E-Saba* Ghumtey Raho
Kat jaye meri soch key par tumko is say kya
Aouron ka haath thaamon Unhey Raasta dikhao
mei Bhool Jaoun Apna He Ghar TumKo Is say kya
Abr-E-Gurezpan* Ko barasney say kya garaz
Seepi mein ban na Paaye GAuhar* Tum Ko is say kya
ley jaayen mujhko maal-e-ganimat key saath uduu*
Tumney tau daal di hey sipper* tum ko is say kya
Tumney TAu Thak Kar Dasht* Mei Kheimey Laga liye
Tanha Katey kisi ka safar tumko is say kya
Meanings:
*Misl-E-Saba=Purwayi Ki tarah , *Abr-E-Gurezpa=Bhagodey baadal,*Gauhar=Moti
*Maal-E-Ganimat=Loot ka maal , *Dasht=Medaan , *Sipper=Dhaal

No comments:

Post a Comment