Sunday, August 15, 2010

Mohabbat se nahi to nafrat se hi sahi..

mohabbat se nahi to nafrat se hi sahi..
kabhi to lijiye aap mera naam hi sahi

har pehloo-e-khushi-o-ranj dekh liya..
duniya mein chaar roz kayaam hi sahi

[ pehloo-e-khushi-o-ranj == shades of happiness and misery ;
kayaam == stay ]

de de saaqiya kuch dil behlaane ko..
bharaa nahin to khaali jaam hi sahi

jo zubaani aapki hai sar aankhon pe hai..
agar nahi lafz-e-inaayat dushnaam hi sahi

[ lafz-e-inaayat == words of kindness ; dushnaam == derogatory slang ]

maana aapne rakeeb ke naam zindagi kar di..
mere hisse mein bhi kuch ho, ek shaam hi sahi

aaye hai to kuch batlaake jaaiye saahib..
apna pata nahi to apna naam hi sahi

bas ek teri mohabbat ke liye banaa hai woh..
tera "Muztar" izzatwala nahi badnaam hi sahi

No comments:

Post a Comment